Kiya haal hay dosto kiya aap pehlay b Dragon ball online khailtay rahay hu kiya agar khailtay rahay hu tu apna experience yahan share karein shukriya.
Aur haan apna IGN(In Game Name) yahan Likhein Ta k hum ik dusray say game mein contact kar sakein mera yay hay.
IGN:UltimateUUB=Kurma Majin=LvL 52(current)
2nd IGN:WhiteSSjRose=Turtle Hermit=LvL 51(Current)
Btw mein kurma majin ku filhaal apnay main k toor par use kar raha hun office time k baad mein takreban rozana raat ku apnay karma ki lvling karta hun takreban
7:45PM say 11:00 or 12:00PM aur saturday sunday ku zeada say zeada online rehnay ki koshish karta hun aur dragon ball event b karta hun ju haftay ku 2 dafa huta hay.
ik dafa 5:00PM say 7:00Pm(2 hours) k liyai aur dussra aglay din yani humara sunday raat ku(02:00AM say 4:00AM) unka saturday yani gmt+1 k lihaaz say(22:00PM to 24:00PM).
aur game mein kisi b kisam k help k liyai mujh say contect kar saktay hein yaa mujhay mail kar saktay hein .kaash k kuch loog mil jaein pakistani tu maza aa jaay.








